Ye ehtraam toh karna zaroor padta hai,
jo tu khareede toh bikna zaroor padta hai.
Bade saleeqe se yeh keh ke zindagi guzri,
har ek shakhs ko marna zaroor padta hai.
Woh dosti ho mohabbat ho chaahe sona ho,
kasauti pe parakhna zaroor padta hai.
Kabhi jawaani se pehle kabhi budhaape mein,
khuda ke saamne jhukna zaroor padta hai.
Ho chaahe jitni bhi puraani dushmani lekin,
koi pukare toh rukna zaroor padta hai.
Sharaab pee ke behakne se kaun rokega,
sharaab pee ke behakna zaroor padta hai.
Wafa ki raah pe chaliye magar ye dhyaan rahe,
ki darmiyaan mein sehra zaroor padta hai. !!