Yaqeen aata nahin dil ko ki aisa ho bhi skata hai,
Humara haal-e ghum sun kar woh zaalim ro bhi sakta hai.
Kabhi insaan akela ho ke bhi tanha nahin hota,
Sar-e mehfil kabhi baithe bithaaye kho bhi sakta hai.
Taajjub kyon hai tum ko humari begunaahi par?
Karam ka ek qatra daagh-e daaman dho bhi sakta hai.
Kabhi insaan ko neend aati nahin phoolon ke bistar par,
Kabhi patthar pe sar rakh kar maze se so bhi sakta hai.
Woh kehte hain teri khaatir sitaare todd laayenge,
Ba-zaahir yun nahin hota magar yun ho bhi sakta hai .!!