Mirza Ghalib Poetry
Yak-zarra-e-zameen nahin bekaar baagh ka,
yan jaada bhi fatila hai laale ke daagh ka.
Be-mayy kise hai taaqat-e-aashob-e-aagahi,
kheencha hai ajz-e-hausla ne khat ayaagh ka.
Bulbul ke kaarobaar pe hain khanda-ha-e-gul,
kehte hain jis ko ishq khalal hai dimaagh ka.
Taaza nahin hai nashsha-e-fikr-e-sukhan mujhe,
tiryaaki-e-qadeem hun dud-e-charaagh ka.
Sau baar band-e-ishq se aazaad hum hue,
par kya karen ki dil hi adoo hai faraagh ka.
Be-khoon-e-dil hai chashm mein mauj-e-nigah ghubaar,
ye maikada kharaab hai mayy ke suraagh ka.
Baagh-e-shagufta tera bisaat-e-nashaat-e-dil,
abr-e-bahaar khum-kada kis ke dimaagh ka. !!