Woh mujhe chhod kar yun aage badhaa jaata hai,
jaise ab mera safar khatm hua jaata hai.
Baat rone ki lage aur hansa jaata hai,
yun bhi halaat se samjhauta kiya jaata hai.
Dil ke rishte hi gira dete hain deewaaren bhi,
dil ke rishton hi ko deewaar keha jaata hai.
Ye meri aakhiri shab toh nahin mayykhane mein?
kaanpte haathon se kyon jaam diya jaata hai.
Kis adaalat mein suna jaayega daawa un ka,
jin umeedon ka gala ghont diya jaata hai.
Faasle jis ki rafaaqat ka muqaddar thehre,
uss musaafir ka kahaan saath diya jaata hai.
Raat aadhi se zyada hi gayi hogi ‘waseem
aao ghar laut lein, *naawaqt hua jaata hai. !!
* [ Naawaqat=delay, der ]