Woh dil hi kya jo tere milne ki dua na kare,
main tujh ko bhool ke zinda rahun khuda na kare .
Rahega pyaar mera tere saath zindagi ban kar,
ye aur baat meri zindagi wafa na kare.
Ye theek hai nahin marta koi judaai se,
khuda kisi ko kisi se magar juda na kare.
Agar wafa par bharosa rahe na duniya ko,
toh koi shakhs mohabbat ka hausla na kare.
Suna hai usko mohabbat duayein deti hai,
jo dil pe chott toh khaye magar gila na kare.
Bujha diya hai naseebon ne mere pyaar ka chaand,
koi diya meri palkon pe ab jala na kare.
Zamana dekh chuka hai parakh chuka hai usey,
‘Qateel’ jaan se jaaye magar ilteza na kare. !!