Woh chaandni ka badan khushbuon ka saaya hai,
bahut azeez humen hai, magar paraaya hai.
Utar bhi aao kabhi aasmaan ke zeene se,
tumhen khuda ne humare liye banaya hai.
Kahaan se aayi ye khushboo, ye ghar ki khusboo hai
iss ajnabi ke andhere mein kaun aaya hai.
Mehak rahi hai zameen chaandni ke phoolon se,
khuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai.
Usey kisi ki mohabbat ka aitbaar nahin,
usey zamaane ne shayad bahut sataaya hai.
Tamaam umar mera dum uss ke dhuen se ghuta,
woh ek chiraagh tha maine usey bujhaya hai. !!
great poetry..thankyou badr sahab
Nadlal sharma Kim ark hand
Youhi besbak sam ko phira karo