Udaas aankhon se aansoo nahin nikalte hain,
ye motiyon ki tarah seepiyon mein palte hain.
Ghane dhuen mein farishte bhi aankhen malte hain,
tamaam raat khajooron ke pedd jalte hain.
Main shaah raah nahin raaste ka patthar hun,
yahan sawaar bhi paidal utar kar chalte hain.
Unhe kabhi na batana main unki aankhen hun,
woh log phool samjh kar mujhe masalte hain.
Ye ek pedd hai, aa iss se mil kar ro lein hum
yahan se tere mere raaste badalte hain.
Kayi sitaaron ko main jaanta hun bachpan se,
kahin bhi jaaun mere saath saath chalte hain. !!