Tumhari aankhein kehti hain hisaar–e zaat se niklo,
Tammana meri ban jaao, shab–e barbaad se niklo.
Kinara thaam lo dil ka, bhula do sab gile-shikwe,
Kabhi sacchi hansi hans do, puraani yaad se niklo.
Khyaal–e yaar accha hai magar jis ne wafa na ki,
Palat kar phir sadaa na do, dar–e fariyaad se niklo.
Aaj ki raat ka pehlu achaanak hum se kehta hai,
Saja lo aankh mein sapne, udaas raat se niklo.
Nahin tum ko ganwara ab humara qarb toh keh do,
Humare qarb ki chhodo tum iss azaab se niklo …!!