Tu har parinde ko chhat par utaar leta hai,
Ye woh shauk hai jo zevar utaar leta hai.
Main aasmaan ki bulandi pe baarha pahuncha,
Magar naseeb zameen par utaar leta hai.
Ameer-e shehar ki humdardiyon se bach ke raho,
Ye sar se bojh nahin, sar utaar leta hai.
Ussi ko milta hai ezaaz bhi zamane mein,
Behan ke sar se chaddar utaar leta hai.
Uthaa hai haath toh waar bhi zaroori hai,
Ki saanp aankhon mein manzar utaar leta hai. !!