Tanha tanha dukh jhelenge mehfil mehfil gaayenge,
jab tak aansoo paas rahenge tab tak geet sunaayenge.
Tum jo socho woh tum jaano hum toh apni kehte hain,
der na karna ghar aane mein warna ghar kho jaayenge.
Bachchon ke chhote haathon ko chaand sitaare chhoone do,
chaar kitaaben padh kar ye bhi hum jaise ho jaayenge.
Achchhi soorat waale saare patthar dil hon mumkin hai,
hum toh uss din raaye denge jis din dhokha khaayenge.
Kin raahon se safar hai aasaan kaun sa rasta mushkil hai,
hum bhi jab thak kar baithenge auron ko samjhaayenge. !!