Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rehta,
kisi bhi aaine mein der tak chehra nahin rehta.
Bade logon se milne mein humesha faasla rakhna,
jahan dariya samandar se mile dariya nahin rehta.
Hazaaron sher mere so gaye kaaghaz ki qabron mein,
ajab maa hun koi baccha mera zinda nahin rehta.
Tumhara shehar toh bilkul naye andaaz wala hai,
humare shehar mein bhi koi hum sa nahin rehta.
Mohabbat ek khushboo hai humesha saath chalti hai,
koi insaan tanhaai mein bhi tanha nahin rehta.
Koi baadal hare mausam ka phir elaan karta hai,
khizan ke baagh mein jab ek bhi patta nahin rehta. !!