Bashir Badr Poetry
Mohabbaton mein dikhaawe ki dosti na mila,
agar gale nahin milta toh haath bhi na mila.
Gharon pe naam the naamon ke saath ohdey the,
bahut talaash kiya, koi aadmi na mila.
Tamaam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha,
phir uske baad mujhe koi ajnabi na mila.
Khuda ki itni badi kaaynaat mein maine,
bas ek shakhs ko maanga mujhe wohi na mila.
Bahut ajeeb hai ye qurbaton ki doori bhi,
woh mere saath reha aur mujhe kabhi na mila. !!
Subscribe us for Bashir Badr Shayari, Urdu Poetry, Ghazals, Nazms, Shair, Poems, Urdu Poets.