Miyaan main sher hun sheron ki gurraahat nahin jaati,
Main lehja naram bhi kar lun toh jhinjhlahat nahin jaati.
Main ek din be-khyali mein sach bol baihta tha,
Main koshish kar chuka hun munh ki kadwahat nahin jaati.
Jahan main hun wahan aawaaz dena jurm thehra hai,
Jahan woh hain wahan tak paaon ki aahat nahin jaati.
Mohabbat ka ye jazba jab khuda ki den hai bhai,
Toh mere raaste se kyon ye duniyaahat nahin jaati.
Woh mujh se be-takalluf ho ke milta hai magar raana,
Naa jaane kyon mere chehre se ghabraahat nahin jaati. !!