Meri aankh ko ye sab kaun bataane dega,
khwaab jis ke hain wohi neend na aane dega.
Uss ne yun baandh liya khud ko naye rishton mein,
jaise mujh par koi ilzaam na aane dega.
Sab andhere se koi wada kiye baithe hain,
kaun aise mein mujhe shamaa jalaane dega.
Bheegti jheel, kamal, baagh mehak, sannata
ye mera gaaon mujhe shehar na jane dega.
Woh bhi aankhon mein kayi khwaab liye baitha hai,
ye tasawwur hi kabhi neend na aane dega.
Kal ki baaten na karo, mujh se koi ehad na lo,
waqt badlega toh kuchh yaad na aane dega.
Ab toh halaat se samjhauta hi kar leeje ‘waseem
kaun maazi ki taraf laut ke jaane dega. !!