Na jaane Kyon mera kaajal,
jab bhi daalun aankhon mein
ab aksar phail jata hai ..
Tum toh jaante ho inn dinon,
bahut hi thand hoti hai
tab hi hai surkh meri naak ..
Main Roi Toh Nahi Hun …
Keha toh hai yunhi bas,
bheega hai aanchal ka kona
chhodo tum fikar mat karo ..
Main Roi Toh Nahi Hun …
Nahi, udaas kab hun main ?
zyada kaam ke baayes,
thakaawat ho hi jati hai ..
Main Roi Toh Nahi Hun …
Eid aayi hai woh ab bhi
nahi aata toh na aaye,
ab uss ki yaad mein dekho ..
Main Roi Toh Nahi Hun …
Bata dena uss ko jaa kar
koi khush-fehmi na paaley,
waise hi surkh hain aankhen ..
Main Roi Toh Nahi Hun ….!!