Khula hai dar magar tera intezaar jaata raha,
pyaar toh hai magar aitbaar jata raha.
Kisi ki aankh mein masti toh aaj bhi hai wahi,
magar kabhi jo humein tha khumaar jaata raha.
Kabhi jo seene mein ek aag thi woh sard hui,
kabhi nigaah mein jo tha sharaar jaata raha.
Ajab sa chain tha hum ko ki jab the hum bechain,
qaraar aaya toh jaise qaraar jaata raha.
Kabhi toh meri bhi sunwaayi hogi mehfil mein,
main ye umeed liye baar baar jaata raha. !!