Khatm kiya saba ne raqs gul pe nisaar ho chuki,
josh-e-nashaat ho chuka saut-e-hazaar ho chuki.
Rang-e banafsha mit gaya sumbul-e-tar nahin raha,
sehan-e-chaman mein zeenat-e-naqs-o-nigaar ho chuki.
Masti-e-laala ab kahan uss ka pyala ab kahan,
daur-e-tarab guzar gaya aamad-e-yaar ho chuki.
Rutt woh jo thi badal gayi, aayi bas aur nikal gayi
thi jo hawaa mein nik.hat-e-mushk-e-tataar ho chuki.
Ab tak ussi rawish pe hai ‘akbar mast-o-bekhabar,
keh de koi azeez-e-mann fasl-e-bahaar ho chuki. !!