Kaisa maftooh manzar hai kayi sadiyon se,
mere qadamon pe mera sar hai kayi sadiyon se.
Khauf rehta hai na sailaab kahin le jaaye,
meri palkon pe tera ghar hai kayi sadiyon se.
Ashk aankhon mein sulagte hue so jaate hain,
ye meri aankh jo banjar hai kayi sadiyon se.
Kaun kehta hai mulaqaat meri aaj ki hai,
tu meri rooh ke andar hai kayi sadiyon se.
Maine jis ke liye har shakhs ko naraaj kiya,
rooth jaaye na yahi dar hai kayi sadiyon se.
Uss ko aadat hai jaden kaaTte rehne ki ‘wasi
jo meri zaat ka mehwar hai kayi sadiyon se. !!