Habib Jalib Poetry
Kahin aah ban ke lab pe tera naam aa na jaaye,
tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye.
Zara khud ko sambhaalo mera dil dhadak raha hai,
koi aur tair-e-dil tah-e-daam aa na jaaye.
Jise sun ke toot jaaye mera aarzoo bhara dil,
teri anjuman se mujh ko woh payaam aa na jaaye.
Woh jo manzilon pe laa kar kisi humsafar ko looten,
unhi rahzahon mein tera kahin naam aa na jaaye.
Issi fikr mein hain ghaltaan ye nizaam-e-zar ke bande,
jo tamaam-e-zindagi hai woh nizaam aa na jaaye.
Ye mah-o-nujoom hans len mere aansuon pe ‘jalib
mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye. !!