Kahan sawaab kahan kya azaab hota hai,
mohabbaton mein kab itna hisaab hota hai.
Bichhad ke mujh se tum apni kashish na kho dena,
udaas rehne se chehra kharaab hota hai.
Usey pata hi nahin hai ki pyaar ki baazi,
jo haar jaaye wohi kaamyaab hota hai.
Jise main likhta hun aise ki khud hi padh paaun,
kibaa-e zeest mein aisa bhi baab hota hai.
Bahut bharosa na kar lena apni aankhon par,
dikhaayi deta hai jo kuchh woh khwaab hota hai. !!