Kabhi kabhi toh mere pehraan se aati hai,
Wahi mehak jo tumhare badan se aati hai.
Humare dil se toh acchha aaina unka,
Ki toot’ta hai toh aawaaz chhann se aati hai.
Humara gaaon se rishta abhi nahin toota,
Abhi buzurgon ki khusboo watan se aati hai.
Kabhi weh khud hi ba nafse-nafees aata tha,
Ab uski yaad bhi kaafi jatan se aati hai.
Main uske jism pe kafoor mal ke aaya tha,
Magar gulaab ki khushboo uske kafan se aati hai. !!