Kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein
woh shokh rang bhi dheeme pade hawaon mein. Main tez-gaam chali ja rahi thi us ki samt
kashish ajeeb thi us dasht ki sadaon mein. Woh ek sada jo fareb-e-sada se bhi kam hai
na doob jaaye kahin tund-rau hawaon mein. Sukoot-e-shaam hai aur main hoon gosh-bar-aawaaz
ki ek vaade ka afsun sa hai fazaaon mein. Meri tarah yunhi gum-karda-raah chhodegi
tum apni baanh na dena hawa ki baanhon mein. Nuqoosh paanv ke likhte hain manzil-e-na-yaft
mera safar toh hai tahreer meri raahon mein. !! Fahmida Riaz |