Jidhar jaate hain sab udhar jaana achchha nahin lagta,
mujhe puraane raaston ka safar achchha nahin lagta.
Ghalat baaton ko khamoshi se sunNa haami bhar lena,
bahut hain faayde iss mein magar achchha nahin lagta.
Mujhe dushman se bhi khuddari ki ummeed rehti hai,
kisi ka bhi ho sar kadmon mein achchha nahin lagta.
Bulandi par unhe mitti ki khusboo tak nahin aati,
ye woh shaakhen hain jin ko ab shajar achchha nahin lagta.
Ye kyon baaki rahe aatish-zano ye bhi jala daalo,
ki sab beghar hon aur mera ho ghar achchha nahin lagta. !!