Jahaan mein haal mera iss qadar zaboon hua,
ki mujh ko dekh ke bismil ko bhi sukoon hua.
Ghareeb dil ne bahut aarzuen paida ki,
magar naseeb ka likha ki sab ka khoon hua.
Woh apne husn se waaqif main apni aql se sair,
unhone hosh sambhaala mujhe junoon hua.
Umeed-e-chashm-emurawwat kahan rahi baaqi,
zariya baaton ka jab sirf telephone hua.
Nigaah-e-garm christmas mein bhi rahi hum par,
humaare haq mein december bhi maah-e-june hua. !!