Iss shehar-e sangdil ko jalaa dena chahiye,
phir uss ki khaak ko bhi udaa dena chahiye.
Milti nahin panaah humein jis zameen par,
ek hashar uss zameen pe utha dena chahiye.
Had se guzar gayi hai yahan rasm-e-qaaheri,
iss dahar ko ab iss ki sazaa dena chahiye.
Ek tez rad jaisi sadaa har makaan mein,
logon ko un ke ghar mein daraa dena chahiye.
Gum ho chale ho tum toh bahut khud mein aye ‘munir
duniya ko kuchh toh apna pata dena chahiye. !!