Iss gali mein woh bhookha kisaan rehta hai,
Ye woh zameen hai jahan aasmaan rehta hai.
Main dar raha hun hawa se ye pedd gir na pade,
Ki iss pe chiddiyon ka ek khandaan rehta hai.
Sadak pe ghoomte paagal ki tarah dil hai mera,
Humesha chot ka taaza nishaan rehta hai.
Tumhare khwaabon se aankhen mehakti rehti hain,
Tumhari yaad se dil zafraan rehta hai.
Humen hareefon ki tadaat kyon batate ho?
Humare saath bhi beta jawaan rehta hai.
Sajaye jate hain maqtal mere liye ‘Rana
Watan mein roz mera imtehaan rehta hai. !!