Ishq mein lajawaab hain hum log,
maahtaab, aaftaab hain hum log.
Garche ahal-e-sharaab hain hum log,
ye na samjho kharaab hain hum log.
Shaam se aa gaye jo peene par,
subah tak aaftaab hain hum log.
Hum ko daava-e-ishqbaazi hai,
mustahiqq-e-azaab hain hum log.
Naaz karti hai khana-veerani,
aise khana-kharaab hain hum log.
Hum nahin jaante khizaan kya hai,
kushtagaan-e-shabaab hain hum log.
Tu humara jawaab hai tanha,
aur tera jawaab hain hum log.
Tu hai dariya-e-husn-o-mahboobi,
shakl-e-mauj-o-hubaab hain hum log.
Go saraapa hujaab hain phir bhi,
tere rukh ki naqaab hain hum log.
Khoob hum jaante hain apni qadr,
kitne na-kaamyaab hain hum log.
Hum se ghaflat na ho toh phir kya ho,
rah-rav-e-mulk-e-khwaab hain hum log.
Hum pe naazil hua saheefa-e-ishq,
saahibaan-e-kitaab hain hum log.
Har haqeeqat se jo guzar jaayen,
woh sadaaqat-ma.aab hain hum log.
Jab mili aankh hosh kho baithe,
kitne haazir-jawaab hain hum log.
Hum se puchho ‘jigar ki sarmasti,
mahram-e-aan-janaab hain hum log. !!