Hum pe guzre the ranj saare jo khud pe guzre toh log samjhe,
jab apni apni mohabbaton ke azaab jhele toh log samjhe.
Woh jin darakhton ki chhaon mein se musaafiron ko utha diya tha,
unhi darakhton se agle mausam jo phal na utre toh log samjhe
Uss ek kachchi si umar waali ke falsafe ko koi na samjha,
jab uss ke kamre se laash nikli khatoot nikle toh log samjhe.
Woh gaaon ka ek zaeef deh’kaan sadak ke baNne pe kyon khafa tha,
jab uss ke bachche jo shehar ja kar kabhi na laute toh log samjhe. !!