Har zulm tera yaad hai bhoola toh nahin hun,
aye wada-e faramosh main tujh sa toh nahin hun.
Saahil pe khade ho tumhe kya ghum chale jana,
main doob raha hun abhi dooba toh nahin hun.
Chup chaap sahi maslehatan waqt ke haathon,
majboor sahi waqt se haara toh nahin hun.
Muztar kyon mujhe dekhta rehta hai zamana,
deewana sahi unka tamasha toh nahin hun …!!
Poet: Altaf Muztar