Halaat se khauf kha raha hun,
sheeshe ke mehal bana raha hun.
Seene mein mere hai mom ka dil,
sooraj se badan chhupa raha hun.
Mehroom-e nazar hai jo zamaana,
aaina usey dikha raha hun.
Ahbaab ko de raha hun dhokha,
chehre pe khushi sajaa raha hun.
Dariya-e furaat hai ye duniya,
pyaasa hi palat ke jaa raha hun.
Hai shehar mein qahat pattharon ka,
jazbaat ke zakhm kha raha hun.
Mumkin hai jawaab de udaasi,
darr apna hi khatkhata raha hun.
Aaya na ‘Qteel dost koi,
saayon ko gale laga raha hun. !!