Hai shakl teri gulaab jaisi,
nazar hai teri sharaab jaisi.
Hawaa sahar ki hai inn dinon mein,
badalte mausam ke khwaab jaisi.
Sadaa hai ek dooriyon mein ojhal,
meri sadaa ke jawaab jaisi.
Woh din tha dozakh ki aag jaisa,
woh raat gahre azaab jaisi.
Ye shehar lagta hai dasht jaisa,
chamak hai uss ki saraab jaisi.
Munir’ teri ghazal ajab hai,
kisi safar ki kitaab jaisi. !!