Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin,
mere naghmaat ko andaaz-e-nawa yaad nahin.
Maine palakon se dar-e-yaar pe dastak di hai,
main woh saail hun jise koi sadaa yaad nahin.
Maine jin ke liye raahon mein bichhaaya tha lahoo,
hum se kehte hain wahi ahad-e-wafa yaad nahin.
Kaise bhar aayi sar-e-shaam kisi ki aankhen,
kaise tharraai charaaghon ki ziya yaad nahin.
Sirf dhundhlaaye sitaaron ki chamak dekhi hai,
kab hua kaun hua kis se khafa yaad nahin.
Zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaati hai,
jaane kis jurm ki paayi hai saza yaad nahin.
Aao ek sajda karen aalam-e-madHoshi mein,
log kehte hain ki ‘saghar ko khuda yaad nahin. !!