Ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota,
aankh un se jo milti hai toh kya kya nahin hota.
Jalwa na ho maani ka toh soorat ka asar kya,
bulbul gul-e tasveer ka shaida nahin hota.
Allah bachaaye marz-e ishq se dil ko,
sunte hain ki ye aariza achchha nahin hota.
Tashbeeh tere chehre ko kya dun gul-e tar se,
hota hai shagufta magar itna nahin hota.
Main nazaa mein hun aayen toh ehsaan hai un ka,
lekin ye samajh lein ki tamaasha nahin hota.
Hum aah bhi karte hain toh ho jaate hain badnaam,
woh qatl bhi karte hain toh charcha nahin hota. !!