Gairat-e ishq salaamat thi anaa zinda thi,
woh bhi din the ki raah-o rasm-e wafa zinda thi.
Qais ko dosh na do rakhiyo na farhaad ko naam,
inhi logon se mohabbat ki adaa zinda thi.
Shehar-e beemar ke har koocha-o baam-o dar par,
hum bhi marte the ki jab khalq-e khuda zinda thi.
Bujh gayi shamaayen toh dum tod gaye jhounke bhi,
jis tarah zehar-e raqaabat se hawa zinda thi.
Yaad-e ayyaam ki sehra-e mohabbat mein ‘faraz
jaras-e qaafila-e dil ki sadaa zinda thi. !!