Qateel Shifai Poetry
Ek jaam khanakta jaam ki saaqi raat guzarne waali hai,
ek hosh-ruba inaam ki saaqi raat guzarne waali hai.
Woh dekh sitaaron ke moti har aan bikharte jaate hain,
aflaak pe hai kohraam ki saaqi raat guzarne waali hai.
Go dekh chuka hun pehle bhi nazaara dariya-noshi ka,
ek aur salaa-e-aam ki saaqi raat guzarne waali hai.
Ye waqt nahin hai baaton ka palkon ke saaye kaam mein laa,
ilhaam koi ilhaam ki saaqi raat guzarne waali hai.
Madhoshi mein ehsaas ke oonche zeene se gir jaane de,
iss waqt na mujh ko thaam ki saaqi raat guzarne waali hai. !!