Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad,
ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad.
Main shikwa ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad,
shayad ki mere bhoolne waale ne kiya yaad.
Chheda tha jise pahle-pahal teri nazar se,
ab tak hai woh ek naghma-e-be-saaz-o-sadaa yaad.
Jab koi haseen hota hai sargarm-e-nawaazish,
uss waqt woh kuchh aur bhi aate hain siwa yaad.
Kya jaaniye kya ho gaya arbaab-e-junoon ko,
marne ki adaa yaad na jeene ki adaa yaad.
Muddat hui ek haadsa-e-ishq ko lekin,
ab tak hai tere dil ke dhadakne ki sadaa yaad.
Haan haan tujhe kya kaam mere shiddat-e-ghum se,
haan haan nahin mujh ko tere daaman ki hawaa yaad.
Main tark-e-raah-o-rasm-e-junoon kar hi chuka tha,
kyon aa gayi aise mein teri lagazish-e-paa yaad
Kya lutf ki main apana pata aap bataaun,
keeje koi bhooli hui khaas apni adaa yaad. !!