Dikhaayi dete hain dhundh mein jaise saaye koi,
magar bulaane se waqt laute na aaye koi.
Mere mohalle ka aasmaan soona ho gaya hai,
bulandiyon pe ab aa ke penche ladaaye koi.
Woh zard pattey jo pedd se toot kar gire the,
kahan gaye behte paaniyon mein bulaaye koi.
Zaeef bargad ke haath mein raasha aa gaya hai,
jutaaen aankhon pe gar rahi hain uthaaye koi.
Mazaar pe khol kar girebaan duaayen maange,
jo aaye ab ke toh laut kar phir na jaaye koi. !!