Chalo phir dhoond lein hum..
Ussi masoom bachpan ko,
Unhi masoom khushiyon ko,
Unhi rangeen lamhon ko,
Jahan ghum ka pata na tha !
Jahan dukh ki samajh na thi !
Jahan bas muskurahat thi !
Bahaarein hi bahaarein thi !
Chalo phir dhoond lein hum..
Ussi masoom bachpan ko,
Ki jab saawan barasta tha,
Toh uss kaaghaz ki kashti ko,
Banana aur dooba dena,
Bahut acchha sa lgta tha..
Aur iss duniya ka har chehra,
Bahut saccha sa lagta tha …!