Chaar-su hai badi wahshat ka saman
kisi aaseb ka saaya hai yahan. Koi aawaz si hai marsiyan-khwan
shahr ka shahr bana goristan. Ek makhluq jo basti hai yahan
jis pe insaan ka guzarta hai gumaan. Khud toh saakit hai misaal-e-tasweer
jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan. Koi chehra nahin juz zer-e-naqaab
na koi jism hai juz be-dil-o-jaan. Ulma hain dushman-e-fahm-o-tahaqeeq
kodani sheva-e-daanish-mandan. Shayar-e-qaum pe ban aayi hai
kizb kaise ho tasawwuf mein nihan. Lab hain masroof-e-qaseeda-goi
aur aankhon mein hai zillat uryan. Sabz khat aaqibat-o-din ke aseer
paarsa khush-tan-o-nau-khez jawaan. Ye jan-e-naghmagaar-o-ishq-shiaar
yaas-o-hasrat se hui hai hairaan. Kis se ab aarzu-e-wasl karen
is kharaabe mein koi mard kahan. !! Fahmida Riaz |
Amazing just amazing…..