Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milega,
ghar chhod ke mat jaao kahin ghar na milega.
Phir yaad bahut aayegi zulfon ki ghani shaam,
jab dhoop me saaya koi sar par na milega.
Aansoo ko kabhi oss ka qatra na samajhna,
aisa tumhe chaahat ka samundar na milega.
Iss khwaab ke mahaul mein be’khwaab hain aankhen,
bazaar mein aisa koi zewar na milega.
Ye soch lo ab aakhiri saaya hai mohabbat,
iss dar se uthoge toh koi dar na milega. !!