Ghar mein rahte hue ghairon ki tarha hoti hain,
Betiyan dhaan ke patton ki tarha hoti hain.
Udd ke ek roz bahut door chali jaati hain,
Ghar ki shaakhon pe ye chiddiyon ki tarha hoti hain.
Sehmi sehmi hui rahti hain maakan dil mein,
Aarzuyein bhi ghareebon ki tarha hoti hain …!

Bakwass… Itni laachaar soch kyu hai… Betiyoon ke baare mein.. Ghar mein wo Gair kyu hui.. Shaadi hoti hai… Toh uska pura utna hi haq Ghr per Jitna sasural… And what mean by shemi shemi… Aap Khud hi Betiyoon ko shuru se Paraya Paraya bolke..unka zehan mein 10 saal paida krtey hai.. Usi sawalon mein wo taumar wo uljhi rehti hai.. Plz beti ki Itna gair mat banao
Baytiyan hi hoti hayn jo har lamha ghar may apnay honay ka ehsas dilai rakhti hayn tabhi to jab wo jati hayn to aysa mehsoos hota hay kay ghar ab aik khali chaar diwar sa reh gaya hay or ye baytiyan hi hayn jo maa or baap kay har dukh or sukh ko na sirf mehsoos karti hayn balkay unkay saath khari hokar maa baap ki taqat banjati hayn or maa baap say jitna piyaar baytiyan karti hayn us ka adhaa bhi shayad baytay nahi kartay bayti ko isi liye rehmat kahaa gayaa hay or jis ghar may rehmatayn hi rehmatayn hon us ghar ka koi alternat nahi ho sakta .
@mahira. zara ghour se padho ek bar aur phir shyd smajh mein aajaye…
lachar majboor nahi balke betion ki ehmiyat dikhaye gaye…
Bilkul teak kaha
Bakwass… Itni laachaar soch kyu hai… Betiyoon ke baare mein.. Ghar mein wo hair kyu hui.. Shaadi hoti hai… Toh uska pura utna hi haq Ghr per Jitna sasural… And what mean by shemi shemi… Aap Khud hi Betiyoon ko shuru se Paraya Paraya bolke..unka zehan mein 10 saal paida krtey hai.. Usi sawalon mein wo taumar wo uljhi rehti hai.. Plz beti ki Itna gair mat banao
Hmm… Ye sub main bhi kehne wala tha lakn mujhy kehna nahi parha. Aap ne sahi kaha.
munawwar rana sahab’s best poem on betiyaan (daughters
This is such a great poem by munawwar rana on beti