Awwal awwal ki dosti hai abhi,
ek ghazal hai ki ho rahi hai abhi.
Main bhi shehar-e wafa mein nau-waarid,
woh bhi ruk ruk ke chal rahi hai abhi.
Main bhi aisa kahan ka zood-shanaas,
woh bhi lagta hai sochti hai abhi.
Dil ki wafadaari hai apni jagah,
phir bhi kuchh ehtiyaat si hai abhi.
Garche pehla sa ijtinaab nahin,
phir bhi kam kam supurdagi hai abhi.
Kaisa mausam hai kuchh nahin khulta,
boonda-baandi bhi dhoop bhi hai abhi.
Khud-kalaami mein kab ye nasha tha,
jis tarah roo-ba-ru koi hai abhi.
Qurbatein laakh khoobsurat hon,
dooriyon mein bhi dilkashi hai abhi.
Fasl-e gul mein bahaar pehla gulaab,
kisi ki zulfon mein taankti hai abhi.
Muddatein ho gayi ‘faraz magar,
woh jo deewaanagi ki thi hai abhi. !!