Habib Jalib Poetry
Aur sab bhool gaye harf-e-sadaaqat likhna,
reh gaya kaam humara hi baghaawat likhna.
Laakh kehte rahen zulmat ko na zulmat likhna,
hum ne seekha hi nahin pyaare ba-ijaazat likhna.
Na sile ki na sitaaish ki tamanna hum ko,
haq main logon ke humari toh hai aadat likhna.
Hum ne jo bhool ke bhi shaah ka qasida na likha,
shayad aaya issi khoobi ki badaulat likhna.
Uss se badh kar meri tehseen bhala kya hogi,
padh ke na-khush hai mera saahab-e-sarvat likhna.
Dahar ke ghum se hua rabt toh hum bhool gaye,
sarv-qaamat ki jawaani ko qayaamat likhna.
Kuchh bhi kehte hain kahen shah ke masahib ‘jalib’
rang rakhna yehi apna issi soorat likhna. !!