Apne honthon par sajana chahta hun,
aa tujhe main gungunana chahta hun.
Koi aansoo tere daaman par gira kar,
boond ko moti banana chahta hun.
Thak gaya main karte karte yaad tujh ko,
ab tujhe main yaad aana chahta hun.
Chhaa raha hai sari basti mein andhera,
roshani do ghar jalana chahta hun.
Aakhiri hichki tere jaano pe aaye,
mout bhi shayrana chahta hun. !!