Firaq Gorakhpuri Poetry
Apne ghum ka mujhe kahan ghum hai,
aye ki teri khushi muqaddam hai.
Uss ke shaitaan ko kahan taufiq,
ishq karna gunaah-e-aadam hai.
Ek tadap mauj-e-tah-nashin ki tarah,
zindagi ki bina-e-mokham hai.
Ye bhi nazm-e-hayaat hai koi,
zindagi, zindagi ka maatam hai.
Roop ke jot zer-e-paraahan,
gulsitaan par rida-e-shabnam hai.
Aah ye mehrbaaniyaan teri,
shaadmaani ki aankh purnam hai.
Narm-o-doshiza kis qadar hai nigaah,
har nazar daastaan-e-maryam hai.
Mehr-o-mah shola-haa-e-saaz-e-jamaal,
jis ki jhankaar itni maddham hai.
Diye jaati hai lau sadaa-e-‘firaq
haan wahi soz-o-saaz kam kam hai. !!