Andhere chaaron taraf saayen saayen karne lage,
chiraagh haath utha kar duaayen karne lage.
Taraqqi kar gaye beemariyon ke saudagar,
ye sab mareez hain jo ab dawaayen karne lage.
Lahoo-luhaan pada tha zameen par ek sooraj,
parinde apne paron se hawaayen karne lage.
Zameen par aa gaye aankhon se toot kar aansoo,
buri khabar hai farishte khataayen karne lage.
Jhulas rahe hain yahan chaanv baantne waale,
woh dhoop hai ki shajar iltizaayen karne lage.
Azeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi,
saffed posh uthe kaayen kaayen karne lage. !!