Acchha tumhaare shehar ka dastoor ho gaya,
jis ko gale laga liya woh door ho gaya.
Kaaghaz mein dabb ke mar gaye keede kitaab ke,
deewana be padhe-likhe mash’hoor ho gaya.
Mehlon mein hum ne kitne sitaare sajaa diye,
lekin zameen se chaand bahut door ho gaya.
Tanhaaiyon ne tod di hum dono ki anaa,
aaina baat karne pe majboor ho gaya.
Subah-e visaal puchh rahi hai ajab sawaal,
woh paas aa gaya ki bahut door ho gaya.
Kuchh phall zaroor aayenge roti ke pedd mein,
jis din mera matalba manzoor ho gaya. !!