Aansuon se dhuli khushki ki tarah,
rishte hote hain shayari ki tarah.
Hum khuda ban ke aayenge warna,
hum se mil jaao aadmi ki tarah.
Barf seene ki jaise jaise gali,
aankh khulti gayi kali ki tarah.
Jab kabhi baadlon mein ghirta hai,
chaand lagta hai aadmi ki tarah.
Kisi rozan kisi dareeche se,
saamne aao roshani ki tarah.
Sab nazar ka fareb hai warna,
koi hota nahin kisi ki tarah.
Khubsoorat udaas Khaufzada,
woh bhi hai beeswin sadi ki tarah.
Jaanta hun ki ek din mujh ko,
woh badal dega diary ki tarah. !!