Aankhon mein chubh gayi teri yaadon ki kirchiyaan,
kaandhon pe ghum ki shaal hai aur chaand raat hai.
Dil tod ke khamosh nazaaron ka kya mila ?
shabnam ka ye sawaal hai aur chaand raat hai.
Campus ki nehar par hai tera haath haath mein,
mausam bhi laa-zawaal hai aur chaand raat hai.
Har ek kali ne odh liya maatami libaas,
har phool pur-malaal hai aur chaand raat hai.
Chhalkaa sa pad raha hai ‘wasi wehshaton ka rang,
har cheez pe zawaal hai aur chaand raat hai. !!