Aankh se lahoo na bahaaya kar,
aye dil usey kabhi toh bhool jaya kar.
Dekhna woh ek din tujhe chhod jaayega,
na tu usey itna sataaya kar.
Itna aitbaar bhi achha nahi hota,
usey har ek baat na bataaya kar.
Shiddat-e ghum se seena phatt jaayega,
aankh se kuchh aansu bahaya kar.
Uss jaisa tujhe kahin mil nahi sakta,
hazaar baar roothe, hazaar baar manaaya kar .!!